Thursday, November 17, 2016

FURSAT

Ghazal

Aj mushkil se char pal he mile
Itni fursat na jane fir kb mile
Krna chahti he tmse gufta gu
Na jane tmse nazre fr kb mile

Aj mushkil se char pal he mile
Itni fursat na jane fr kb mile

Kyu ho chup chap khamosh se tm
Mana ho mere agosh me tm
he sile honth koi bat nahi
Kehdo ankho se jo bhi shikve gile

Aj mushkil se char pal he mile
Itni fursat na jane fr kb mile

Chale dohraye vo bite lamhe
Tm bhi vahi ho vahi hm he
The jo anjane ek duje se
Kb kaha kese fr hm tm mile

Aj mushkil se char pal he mile
Itni fursat na jane fir kb mile

Waqt bhi thehra hua lgta he
Jo paraya tha mera hua lgta he
Yun to dushman the mere duniya wale
Aj koi savera nya sa lgta he

- written by my dear friend
VINOD KUMAR
https://www.facebook.com/profile.php?id=100000417267486

Wednesday, November 18, 2015

EK CHEHRA


EK CHEHRA.

Neend k iss Jaal se nikla,
Or tayari wali bhagam bhag me,
Aj late fir se ho Gaya.

Majburiyo se bhari bus
Bus nikalne hi wali thi,
Lapak kar bus kisi tarah
Sawar usme ho Gaya.

Ek chehra marj ka tha
Ek chehra karj ka,
Ek chehra dikh raha tha
Asha se Bhara hua.

Ek chehra has raha tha
Apni khali Jeb per
Ek chehra abhimaan ki
Unchayioon me kho Gaya.

Ek chehra unkahi khwahishon
Se bhara hua,
Ek chehra bachon ki farmayisho
Se ghira hua.

Ek chehra ansu dikhate dikhate
Nakli sa hua
Ek chehra muskurahat bant-te bant-te Khali ho Gaya.

Bus ruki or hum utre ussi
Dheeth se bus stop per,
Fir shaam k intezaar me
Lo din shuru fir ho Gaya.

Thursday, May 14, 2015



Ankhen sooji si, gaal rukhe se,
Hoth pe koi muskaan kyu nahi nihaan,
Kyu kaid se lagte ho tum rihayii k bad,

kya hal bana rakha hai koi to batae usko,
Ayine (mirror) sab tod diye nihaan
kya tumne bewafayii k bad!


Thursday, April 2, 2015




Tu zakhmi hai magar tuta nahi hai,
Or tujhse badhkar hain kai gumgeen zamane me,

Kisi ke dard ka bankar merhum dekh to sahi,
Jo sukoon dene me hai panay me nahi hai.

Tu zakhmi hai magar tuta nahi hai...