
mai jo khud ko jalati hu....
tumhe sab kuch dikati hu ....
andhere chir karke mai tumhe ujale me lati hu....
mujhe wo kaid kar lenge ,
abhi jo than baithe hai ..
wo aksar bhul jate hain,
shama hu mai ujala hu
nahi mohtaj chilman ki ...
salakhe mujhko rokengi
to khud ki lau badha lungi
tumhe roshan mai rakhungi
bhalay khud ko jala lungi....
phir bhi na samje to mai ansu baha lungi ....
mai jisse pyar karti hu wohi mujhko bhujata hai..
haa jhoka wo hawa ka hai jo mujh se ruth jata hai
phir mujhko bujhata hai
kabhi mujhko satata hai...
magar mai lau aour badha lungi
thodi aatish dikha dungi ..
jo apni jid pe ayi to
mai jhonkay ko jala dungi...
magar mai jaan deti hu nahi tumko sataungii
kabhi tum laut aye to
ashaq mai chhod jaungee...
tummhe wo meri aksar phir u hi jab yaad ayegeee ...
jaara phir soch lo kya tum mujhe aise bujhaogay.. .....
jaara phir soch lo kya tum mujhe aise bujhaogay.. .....