Wednesday, November 18, 2015

EK CHEHRA


EK CHEHRA.

Neend k iss Jaal se nikla,
Or tayari wali bhagam bhag me,
Aj late fir se ho Gaya.

Majburiyo se bhari bus
Bus nikalne hi wali thi,
Lapak kar bus kisi tarah
Sawar usme ho Gaya.

Ek chehra marj ka tha
Ek chehra karj ka,
Ek chehra dikh raha tha
Asha se Bhara hua.

Ek chehra has raha tha
Apni khali Jeb per
Ek chehra abhimaan ki
Unchayioon me kho Gaya.

Ek chehra unkahi khwahishon
Se bhara hua,
Ek chehra bachon ki farmayisho
Se ghira hua.

Ek chehra ansu dikhate dikhate
Nakli sa hua
Ek chehra muskurahat bant-te bant-te Khali ho Gaya.

Bus ruki or hum utre ussi
Dheeth se bus stop per,
Fir shaam k intezaar me
Lo din shuru fir ho Gaya.